Nindiyaa se jaagee bahaar

निन्दिया से जागी बहार्
Work
Year
Language

निन्दिया से जागी बहार
ऐसा मौसम देखा पहली बार
कोयल कूके कूके गाये मल्हार

मैं हूँ अभी कमसिन कमसिन
जानूं न कुछ इस बिन इस बिन
रातें जवानी की बाली उमर के दिन
कब क्‌या हो नहीं ऐतबार
ऐसा मौसम देखा पहली बार …

कैसी ये रुत आयी सुन के मैं शरमायी
कानों में कह दे क्‌या
बाली ये पुरवाई
पहने फूलों ने किरणों के हार
ऐसा मौसम देखा पहली बार …

nindiyā se jāgī bahār
aisā mausam dekhā pahlī bār
koyal kūke kūke gāye malhār

maiṅ hūṇ abhī kamsin kamsin
jānūṅ na kuchh is bin is bin
rāteṅ javānī kī bālī umar ke din
kab k‌yā ho nahīṅ aitbār
aisā mausam dekhā pahlī bār …

kaisī ye rut āyī sun ke maiṅ śharmāyī
kānoṅ meṅ kah de k‌yā
bālī ye purvāī
pahne phūloṅ ne kirṇoṅ ke hār
aisā mausam dekhā pahlī bār …