Tere paas aa ke meraa vaqt gujar jaataa hai

तेरे पास आ के मेरा वक़्त गुजर जाता है
Year
Language

तेरे पास आ के मेरा वक़्त गुजर जाता है
दो घड़ी के लिये ग़म जाने किधर जाता है
जब कभी दूरसे तू मुझको नजर आता है
प्यार हसकर मेरी आँखों में संवर जाता है

तू वो ही है जिसे इस दिल ने सदायें दी हैं
तू वो ही है जिसे नजरों ने दुवायें दी हैं
तू वो ही है के जो दिल ले के मुकर जाता है
दो घडी के लिये ग़म जाने किधर जाता है

जाम इतने तेरी मस्ती भरी आँखों से पिये
बेख़ुदी में तुझे सजदे मेरी नजरों ने किये
तेरे जलवों में खुदा मुझको नजर आता है
प्यार हसकर मेरी आँखों में संवर जाता है

तेरी याद आते ही घबराके चली आती हूँ
मैं हर एक कैद को ठुकराके चली आती हूँ
मैं नहीं आती मुझे प्यार इधर लाता है
प्यार हसकर मेरी आँखों में संवर जाता है
दो घडी के लिये ग़म जाने किधर जाता है

tere pās ā ke merā vaqt gujar jātā hai
do ghaṛī ke liye ġham jāne kidhar jātā hai
jab kabhī dūrse tū mujhko najar ātā hai
pyār haskar merī āṇkhoṅ meṅ saṅvar jātā hai

tū vo hī hai jise is dil ne sadāyeṅ dī haiṅ
tū vo hī hai jise najroṅ ne duvāyeṅ dī haiṅ
tū vo hī hai ke jo dil le ke mukar jātā hai
do ghaḍī ke liye ġham jāne kidhar jātā hai

jām itne terī mastī bharī āṇkhoṅ se piye
bekhudī meṅ tujhe sajde merī najroṅ ne kiye
tere jalvoṅ meṅ khudā mujhko najar ātā hai
pyār haskar merī āṇkhoṅ meṅ saṅvar jātā hai

terī yād āte hī ghabrāke chalī ātī hūṇ
maiṅ har ek kaid ko ṭhukrāke chalī ātī hūṇ
maiṅ nahīṅ ātī mujhe pyār idhar lātā hai
pyār haskar merī āṇkhoṅ meṅ saṅvar jātā hai
do ghaḍī ke liye ġham jāne kidhar jātā hai