Neel gagan par urte baadal aa aa aa

नील गगन पर उड़ते बादल आ आ आ
Work
Year
Language

नील गगन पर उड़ते बादल आ आ आ
धूप में जलता खेत हमारा, कर दे तू छाया
छुपे हुए ओ चंचल पंछी, जा जा जा
देख अभी है कच्चा दाना पक जाए तो खा

बहता-बहता क्‌यारियों में ठंडा-ठंडा पानी
चूम न ले कहीं पाँव तेरे, ओ खेतों की रानी
चूम के मेरे पाँव मैले वो होगा मैला
मैं हूँ खेतों की दासी तू खेतों का राजा

हरी-भरी इन खेतियों की राम करे रखवाली
वो चाहे तो सौ-सौ दाने देगी एक-एक डाली
मेहनत-वालों की सुनता है वो ऊपर-वाला
खोल के रखियो अपनी झोली भर देगा दाता

nīl gagan par uṛte bādal ā ā ā
dhūp meṅ jaltā khet hamārā, kar de tū chhāyā
chhupe hue o chaṅchal paṅchhī, jā jā jā
dekh abhī hai kachchā dānā pak jāe to khā

bahtā-bahtā k‌yāriyoṅ meṅ ṭhaṅḍā-ṭhaṅḍā pānī
chūm na le kahīṅ pāṇv tere, o khetoṅ kī rānī
chūm ke mere pāṇv maile vo hogā mailā
maiṅ hūṇ khetoṅ kī dāsī tū khetoṅ kā rājā

harī-bharī in khetiyoṅ kī rām kare rakhvālī
vo chāhe to sau-sau dāne degī ek-ek ḍālī
mehnat-vāloṅ kī suntā hai vo ūpar-vālā
khol ke rakhiyo apnī jholī bhar degā dātā