नज़रों से कह दो प्यार में मिलने का मौसम आ गया
नज़रों से कह दो प्यार में मिलने का मौसम आ गया
बाहों में बाहें डाल के खिलने का मौसम आ गया
1) इस प्यार से तेरा हाथ लगा लहरा गए गेसू मेरे
कुछ भी नज़र आता नहीं मस्ती में मुझे तेरे परे
कंधे पे मेरे ज़ुल्फ़ के ढलने का मौसम आ गया, नज़रों …
2) तुम मिल भी गए फिर भी दिल को क्या जाने कैसी आस है
तुम पास हो फिर भी होंठों में जाने कैसी प्यास है
होंठों की ठंडी आग में जलने का मौसम आ गया, नज़रों …
nazroṅ se kah do pyār meṅ milne kā mausam ā gayā
bāhoṅ meṅ bāheṅ ḍāl ke khilne kā mausam ā gayā
1) is pyār se terā hāth lagā lahrā gae gesū mere
kuchh bhī nazar ātā nahīṅ mastī meṅ mujhe tere pare
kaṅdhe pe mere zulf ke ḍhalne kā mausam ā gayā, nazroṅ …
2) tum mil bhī gae phir bhī dil ko kyā jāne kaisī ās hai
tum pās ho phir bhī hoṅṭhoṅ meṅ jāne kaisī pyās hai
hoṅṭhoṅ kī ṭhaṅḍī āg meṅ jalne kā mausam ā gayā, nazroṅ …