Nazron se aaj dil men samaane kee raat hai

नज़रों से आज दिल में समाने की रात है
Work
Year
Language

मु: नज़रों से आज दिल में समाने की रात है
ल: ये रात तो नसीब जगाने की रात है

सुन लो ज़रा क़रीब से ये दिल की धड़कनें
ये दिल का हाल सुनने-सुनाने की रात है
मु: नज़रों से आज …

क़दमों में क्‌यूँ बिछी हुई है आज चाँदनी
पलकों पे चाँदनी को बिठाने की रात है
ल: नज़रों से आज …

देखो फ़लक़ की माँग सितारों से भर गई
मु: ज़ुल्फ़ों में भी सितारे सजाने की रात है
दो: नज़रों से आज …

mu: nazroṅ se āj dil meṅ samāne kī rāt hai
la: ye rāt to nasīb jagāne kī rāt hai

sun lo zarā qarīb se ye dil kī dhaṛakneṅ
ye dil kā hāl sunne-sunāne kī rāt hai
mu: nazroṅ se āj …

qadmoṅ meṅ k‌yūṇ bichhī huī hai āj chāṇdnī
palkoṅ pe chāṇdnī ko biṭhāne kī rāt hai
la: nazroṅ se āj …

dekho falaq kī māṇg sitāroṅ se bhar gaī
mu: zulfoṅ meṅ bhī sitāre sajāne kī rāt hai
do: nazroṅ se āj …