Nayaa nainon men rang naee uthee umang

नया नैनों में रंग नई उठी उमंग्
Work
Year
Language

( नया नैनों में रंग नई उठी उमंग
जिया बोले मीठी बानी
एक तुम हो साथ दूजे हाथ में हाथ
तीजे शाम सुनानी ) -2

( शाम के प्यारे रंगों में आवो
आवो जी छिप-छिप जायें ) -2
( ढूँढा करें ढूँढने वाले
हम हाथ न आयें ) -2
मदमस्त हवायें हमें ले के वहाँ जायें
जहाँ निस की जवानी

एक तुम हो साथ दूजे हाथ में हाथ
तीजे शाम सुनानी
नया नैनों में रंग नई उठी उमंग
जिया बोले मीठी बानी
एक तुम हो साथ दूजे हाथ में हाथ
तीजे शाम सुनानी

दिन से दुगनी रात से तिगनी शाम हमारी हो जाये -2
ढलता सूरज उगता चंदा रात तलक खो जाये -2
चरनों में बलम तोरे पड़े रहें हम यूँ बितायें ज़िंदगानी

एक तुम हो साथ दूजे हाथ में हाथ
तीजे शाम सुनानी
नया नैनों में रंग नई उठी उमंग
जिया बोले मीठी बानी
एक तुम हो साथ दूजे हाथ में हाथ
तीजे शाम सुनानी

( nayā nainoṅ meṅ raṅg naī uṭhī umaṅg
jiyā bole mīṭhī bānī
ek tum ho sāth dūje hāth meṅ hāth
tīje śhām sunānī ) -2

( śhām ke pyāre raṅgoṅ meṅ āvo
āvo jī chhip-chhip jāyeṅ ) -2
( ḍhūṇḍhā kareṅ ḍhūṇḍhne vāle
ham hāth na āyeṅ ) -2
madamast havāyeṅ hameṅ le ke vahāṇ jāyeṅ
jahāṇ nis kī javānī

ek tum ho sāth dūje hāth meṅ hāth
tīje śhām sunānī
nayā nainoṅ meṅ raṅg naī uṭhī umaṅg
jiyā bole mīṭhī bānī
ek tum ho sāth dūje hāth meṅ hāth
tīje śhām sunānī

din se dugnī rāt se tignī śhām hamārī ho jāye -2
ḍhaltā sūraj ugtā chaṅdā rāt talak kho jāye -2
charnoṅ meṅ balam tore paṛe raheṅ ham yūṇ bitāyeṅ ziṅdgānī

ek tum ho sāth dūje hāth meṅ hāth
tīje śhām sunānī
nayā nainoṅ meṅ raṅg naī uṭhī umaṅg
jiyā bole mīṭhī bānī
ek tum ho sāth dūje hāth meṅ hāth
tīje śhām sunānī