Naujvaano bhaarat kee taqdeer banaa do

नौजवानो भारत की तक़दीर बना दो
Work
Year
Language

नौजवानो
नौजवानो भारत की तक़दीर बना दो -2
फूलों के इस गुलशन से काँटों को हटा दो

तोड़ के सारे जाल विदेशी कर लो देश को अपना
रह जाए ना देखो अधूरा कोई सुन्दर सपना
घर में आग लगाए जो दीपक उसको बुझा दो
फूलों के इस …

हम भारत के वासी क्‌यों हों दुनिया में शर्मिन्दा
देश के कारण मौत भी आए फिर भी रहेंगे ज़िन्दा
जय-जय हिन्द के नारों से धरती को हिला दो
फूलों के इस …

अपने साथ है कैसे-कैसे बलवानों की शक्‌ति
श्री जवाहर लाल की हिम्मत बापू जी की भक्‌ति
देश का झण्डा जग में ऊँचा करके दिखा दो
फूलों के इस …

naujvāno
naujvāno bhārat kī taqdīr banā do -2
phūloṅ ke is gulaśhan se kāṇṭoṅ ko haṭā do

toṛ ke sāre jāl videśhī kar lo deśh ko apnā
rah jāe nā dekho adhūrā koī sundar sapnā
ghar meṅ āg lagāe jo dīpak usko bujhā do
phūloṅ ke is …

ham bhārat ke vāsī k‌yoṅ hoṅ duniyā meṅ śharmindā
deśh ke kāraṇ maut bhī āe phir bhī raheṅge zindā
jay-jay hind ke nāroṅ se dhartī ko hilā do
phūloṅ ke is …

apne sāth hai kaise-kaise balvānoṅ kī śhak‌ti
śhrī javāhar lāl kī himmat bāpū jī kī bhak‌ti
deśh kā jhaṇḍā jag meṅ ūṇchā karke dikhā do
phūloṅ ke is …