Naseeb men jiske jo likhaa thaa, vo teree mahafil men kaam aayaa

नसीब में जिसके जो लिखा था, वो तेरी महफ़िल में काम आया
Work
Year
Language

नसीब में जिसके जो लिखा था
वो तेरी महफ़िल में काम आया
किसी के हिस्से में प्यास आई
किसी के हिस्से में जाम आया

मैं इक फ़साना हूँ बेकसी का
ये हाल है मेरी ज़िंदगी का
न हुस्न ही मुझको रास आया
न इश्क़ ही मेरे काम आया
नसीब में …

बदल गईं तेरी मंज़िलें भी
बिछड़ गया मैं भी कारवां से
तेरी मुहब्बत के रास्ते में
न जाने ये क्‌या मकाम आया
नसीब में …

तुझे भुलाने कि कोशिशें भी
तमाम नाकाम हो गई हैं
किसी ने ज़िक्‌र-ए-वफ़ा किया जब
ज़ुबाँ पे तेरा ही नाम आया
नसीब में …

nasīb meṅ jiske jo likhā thā
vo terī mahafil meṅ kām āyā
kisī ke hisse meṅ pyās āī
kisī ke hisse meṅ jām āyā

maiṅ ik fasānā hūṇ beksī kā
ye hāl hai merī ziṅdgī kā
na husn hī mujhko rās āyā
na iśhq hī mere kām āyā
nasīb meṅ …

badal gaīṅ terī maṅzileṅ bhī
bichhaṛ gayā maiṅ bhī kārvāṅ se
terī muhabbat ke rāste meṅ
na jāne ye k‌yā makām āyā
nasīb meṅ …

tujhe bhulāne ki kośhiśheṅ bhī
tamām nākām ho gaī haiṅ
kisī ne zik‌ra-e-vafā kiyā jab
zubāṇ pe terā hī nām āyā
nasīb meṅ …