phir se āīyo badrā bidesī
tere paṅkho pe motī jaṛūṅgī
bhar ke jāīyo, hamārī talaiyā
maiṅ talaiyā kināre milūṅgī
tujhe mere kāle kamlīvāle kī sauṅdh
tere jāne kī rut maiṅ jāntī hūṇ
mūḍ ke āne kī rīt hai ke nahīṅ
kālī dargā se pūchhūṇgī jā ke
tere man meṅ bhī prīt hai ke nahīṅ
kachchī puliyā se ho ke gujrīyo
kachchī puliyā kināre milūṅgī
tū jo ruk jāe merī aṭriyā
maiṅ aṭriyā pe jhālar lagā dūṇ
ḍālūṇ chār tābīज़ gale meṅ
apne kājal se biṅdīyā lagā dūṇ
chhū ke jāīyo, hamāre bagīche
maiṅ pīpal ke āṛe milūṅgī