buzurgoṅ ne,
buzurgoṅ ne, farmāyā ke pairoṅ pe apne khaṛe hoke dikhlāo
phir ye zamānā tumhārā hai,
zamāne ke sur tāl ke sāth, baṛhte chale jāo
phir har tarānā tumhārā, fasānā tumhārā hai
are to lo bhaiyā ham, apne pairoṅ ke ūpar,
khaṛe ho gae,
aur milālī hai tāl
dabā legā dāṇtoṅ tale uṇgliyāṇ … liyāṇ …
ye jahāṇ dekh kar, dekh kar
apnī chāl… vāh vāh!
dhanyvād!
ke pag ghuṇghrū …
ke pag ghuṇghrū bāṇdh, mīrā nāchī thī
aur ham nāche bin ghuṇgrū ke
ke pag ghuṇgrū bāṇdh, mīrā nāchī thī
vo tīr bhalā, kis kām kā hai
jo tīr niśhāne se chūke chūke chūke re
ke pag ghuṇghrū …
sa sa sa ga ga rī rī sa nī nī sa sa sa (3)
ga ga ga pa pa ma ma ga rī rī ga ga ga (2)
pa nī sa (4). ma pa nī (4)
re re re re re ga re ga re ga
(Kishore stops)
pa pa pa pa pa ma ga re sa nī sa dha
sa nī sa dha sa nī sa dha
sa nī sa dha sa nī sa dha
sa dha nī sa sa dha nī sa
sa dha nī sa sa dha nī sa
pa ma pa ma ga ma ga re
ga re sa nī sa nī sa ga
sa re sa ga re ga re ma
re ma ga ma ga ma pa ma
pa ma ga re sa nī sa pa sa
pa ma ga re sa nī sa pa sa
(Kishore continues)
Mmmmmmm…
āp aṅdar se kuchh,
aur bāhar se kuchh aur nazar āte haiṅ,
barkhurdār śhakla se to, chor nazar āte haiṅ,
umr guzrī hai sārī chorī meṅ
sāre sukh chain band, jurm kī tijaurī meṅ
āp kā to lagtā hai bas yahī sapnā
rām nām japnā parāyā māl apnā (2)
vatan kā khāyā namak to, namak halāl bano,
farz īmān kī ziṅdā yahāṇ misāl bano
parāyā dhan, parāī nār pe nazar mat ḍālo
burī ādat hai ye, ādat abhī badal ḍālo
kyoṅ ki!! ye ādat to, vo āg hai jo
ik din apnā ghar phūṇke phūṇke phūṇke re
ke pag ghuṇghrū …
(Some English lines here.........)
mausam-e-iśhq meṅ machle hue armān haiṅ ham
dil ko lagtā hai kī do jism ek jān haiṅ ham
aisā lagtā hai to lagne meṅ kuchh burāī nahīṅ
dil ye kahtā hai āp apnī haiṅ, parāī nahīṅ
saṅgemarmar kī hāy, koī mūrat ho tum
koī dilkaśh baṛī, khūbsūrat ho tum
dil dil se milne kā koī muhūrat ho
pyāse diloṅ kī zarūrat ho tum
dil chīrke, dikhlā dūṇ maiṅ,
dil meṅ yahī, sūrat haṅsīṅ
kyā āp ko lagtā nahīṅ, ham haiṅ mile pahle kahīṅ
kyā des hai, kyā jāt hai,
kyā umr hai, kyā nām hai,
are chhoṛiye in bātoṅ se,
hamko bhalā kyā kām hai
ajī suniye to… ham āp mile
to phir ho śhurū
afsāne lailā, majnū lailā majnū ke
ke pag ghuṇghrū …