Najoomi hoon main ... mubaarak ho ... chhamaa-chham sonaa-chaandee ... ye hai qismat kaa nazraanaa

नजूमि हूँ मैं ... मुबारक हो ... छमा-छम सोना-चाँदी ... ये है क़िस्मत का नज़राना
Work
Year
Language

सु: मुबारक हो -4
छमा-छम सोना-चाँदी घर में आ जाना मुबारक हो -2
ये है क़िस्मत का नज़राना ये नज़राना मुबारक हो -2

तुम्हारे दर पे सौ-सौ मोटरें आ कर खड़ी होंगी
हो हो
तुम्हारे दर पे सौ-सौ मोटरें आ कर खड़ी होंगी
रुपों की थैलियाँ कमरों के कोनों में गड़ी होंगी
हाय
Male Voice: अहा
क्‌या बात है
वाह
सु: कमाई दूसरों की अपने घर लाना मुबारक हो
को: कमाई दूसरों की अपने घर लाना मुबारक हो
सु: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
को: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
मुबारक हो -4
छमा-छम सोना-चाँदी घर में आ जाना मुबारक हो

सु: तुम्हें कड़का जो कहते हैं
Male Voice: कड़का? क्‌या कहा?
सु: तुम्हें कड़का जो कहते हैं वो तुमको शेख़ बोलेंगे
Male Voice: अरे तुम्हारे मुँह में घी-शक्‌कर
सु: हो
तुम्हें कड़का जो कहते हैं वो तुमको शेख़ बोलेंगे
जो बैठो car तो आगे बढ़ कर gate खोलेंगे
बढ़ा कर पेट तुमको सेठ बन जाना मुबारक हो
को: बढ़ा कर पेट तुमको सेठ बन जाना मुबारक हो
सु: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
को: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
मुबारक हो -4
छमा-छम सोना-चाँदी घर में आ जाना मुबारक हो

सु: तुझे शायद किसी चंचल परी से प्यार हो जाये
हो
तुझे शायद किसी चंचल परी से
Male Voice: हो
तुझे शायद किसी चंचल परी से प्यार हो जाये
सु: बहुत मुमकिन है mister तेरा बेड़ा पार हो जाये
हाय
Male Voice: अहा
अरे जियो
सु: किसी के दिल के बंगले में तेरा आना मुबारक हो
को: किसी के दिल के बंगले में तेरा आना मुबारक हो
सु: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
को: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
मुबारक हो -4
छमा-छम सोना-चाँदी घर में आ जाना मुबारक हो

सु: बनो तुम लखपती भइया दुआ है बस ये बांदी की
हो
बनो तुम लखपती भइया दुआ है बस ये बांदी की
हो हाथों में तुम्हारे हथकड़ी
Male Voice: हे मुँह सम्भाल के हाँ
सु: हो हाथों में तुम्हारे हथकड़ी लेकिन हो चाँदी की
हाय
Male Voice: चाँदी की? फिर तो ठीक है
सु: तुम्हें ज़ुल्फ़ों की फाँसी ले के मर जाना मुबारक हो
को: तुम्हें ज़ुल्फ़ों की फाँसी ले के मर जाना मुबारक हो
सु: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
को: ये है क़िस्मत का नज़राना -2
मुबारक हो -4
छमा-छम सोना-चाँदी घर में आ जाना मुबारक हो -2

हा

su: mubārak ho -4
chhamā-chham sonā-chāṇdī ghar meṅ ā jānā mubārak ho -2
ye hai qismat kā nazrānā ye nazrānā mubārak ho -2

tumhāre dar pe sau-sau moṭreṅ ā kar khaṛī hoṅgī
ho ho
tumhāre dar pe sau-sau moṭreṅ ā kar khaṛī hoṅgī
rupoṅ kī thailiyāṇ kamroṅ ke konoṅ meṅ gaṛī hoṅgī
hāy
Male Voice: ahā
k‌yā bāt hai
vāh
su: kamāī dūsroṅ kī apne ghar lānā mubārak ho
ko: kamāī dūsroṅ kī apne ghar lānā mubārak ho
su: ye hai qismat kā nazrānā -2
ko: ye hai qismat kā nazrānā -2
mubārak ho -4
chhamā-chham sonā-chāṇdī ghar meṅ ā jānā mubārak ho

su: tumheṅ kaṛkā jo kahte haiṅ
Male Voice: kaṛkā? k‌yā kahā?
su: tumheṅ kaṛkā jo kahte haiṅ vo tumko śhekh boleṅge
Male Voice: are tumhāre muṇh meṅ ghī-śhak‌kar
su: ho
tumheṅ kaṛkā jo kahte haiṅ vo tumko śhekh boleṅge
jo baiṭho car to āge baṛh kar gate kholeṅge
baṛhā kar peṭ tumko seṭh ban jānā mubārak ho
ko: baṛhā kar peṭ tumko seṭh ban jānā mubārak ho
su: ye hai qismat kā nazrānā -2
ko: ye hai qismat kā nazrānā -2
mubārak ho -4
chhamā-chham sonā-chāṇdī ghar meṅ ā jānā mubārak ho

su: tujhe śhāyad kisī chaṅchal parī se pyār ho jāye
ho
tujhe śhāyad kisī chaṅchal parī se
Male Voice: ho
tujhe śhāyad kisī chaṅchal parī se pyār ho jāye
su: bahut mumkin hai mister terā beṛā pār ho jāye
hāy
Male Voice: ahā
are jiyo
su: kisī ke dil ke baṅgle meṅ terā ānā mubārak ho
ko: kisī ke dil ke baṅgle meṅ terā ānā mubārak ho
su: ye hai qismat kā nazrānā -2
ko: ye hai qismat kā nazrānā -2
mubārak ho -4
chhamā-chham sonā-chāṇdī ghar meṅ ā jānā mubārak ho

su: bano tum lakhaptī bhaiyā duā hai bas ye bāṅdī kī
ho
bano tum lakhaptī bhaiyā duā hai bas ye bāṅdī kī
ho hāthoṅ meṅ tumhāre hathkaṛī
Male Voice: he muṇh sambhāl ke hāṇ
su: ho hāthoṅ meṅ tumhāre hathkaṛī lekin ho chāṇdī kī
hāy
Male Voice: chāṇdī kī? phir to ṭhīk hai
su: tumheṅ zulfoṅ kī phāṇsī le ke mar jānā mubārak ho
ko: tumheṅ zulfoṅ kī phāṇsī le ke mar jānā mubārak ho
su: ye hai qismat kā nazrānā -2
ko: ye hai qismat kā nazrānā -2
mubārak ho -4
chhamā-chham sonā-chāṇdī ghar meṅ ā jānā mubārak ho -2