Naino men badraa chhaaye, bijlee see chamke haay

नैनो में बदरा छाये, बिजली सी चमके हाय
Work
Year
Language

नैनों में बदरा छाए, बिजली सी चमके हाए
ऐसे में बलम मोहे गरवा लगा ले

मदिरा में डूबी अखियाँ, चंचल हैं दोनों सखियाँ
झलती रहेंगी तोहे, पलकों की प्यारी पखियाँ
शरमा के देंगी तोहे मदिरा के प्याले

प्रेम दिवानी हूँ मैं, सपनों की रानी हूँ मैं
पिछले जनम से तेरी प्रेम कहानी हूँ मैं
आ इस जनम में भी तू अपना बना ले

nainoṅ meṅ badrā chhāe, bijlī sī chamke hāe
aise meṅ balam mohe garvā lagā le

madirā meṅ ḍūbī akhiyāṇ, chaṅchal haiṅ donoṅ sakhiyāṇ
jhaltī raheṅgī tohe, palkoṅ kī pyārī pakhiyāṇ
śharmā ke deṅgī tohe madirā ke pyāle

prem divānī hūṇ maiṅ, sapnoṅ kī rānī hūṇ maiṅ
pichhle janam se terī prem kahānī hūṇ maiṅ
ā is janam meṅ bhī tū apnā banā le