Nainaa hain pyaase mere, pyaasaa hai praan meraa

नैना हैं प्यासे मेरे, प्यासा है प्रान मेरा
Work
Year
Language

नैना हैं प्यासे मेरे, प्यासा है प्रान मेरा
मैं हूँ एक बरखा के बिन, जलता सा दिन
आशियाँ है सुनसान मेरा

मन की है लगन तन से, तन का है तीर्थ दूजा
प्यासी रही मिल के उनसे, प्यास को ही मैंने पूजा
यही तो है अभिमान मेरा

प्यार, पूजा, प्रार्थना तो एक साथ रहना चाहे
साथ अगर साथ न दे संग आ जाती आहें
अब यही है मेरा सोपान मेरा

nainā haiṅ pyāse mere, pyāsā hai prān merā
maiṅ hūṇ ek barkhā ke bin, jaltā sā din
āśhiyāṇ hai sunsān merā

man kī hai lagan tan se, tan kā hai tīrth dūjā
pyāsī rahī mil ke unse, pyās ko hī maiṅne pūjā
yahī to hai abhimān merā

pyār, pūjā, prārthnā to ek sāth rahnā chāhe
sāth agar sāth na de saṅg ā jātī āheṅ
ab yahī hai merā sopān merā