Nainaa hain pyaase mere, pyaasaa hai praan meraa

नैना हैं प्यासे मेरे, प्यासा है प्राण मेरा
Work
Year
Language

नैना हैं प्यासे मेरे, प्यासा है प्रान मेरा
मैं हूँ एक बरखा के बिन जलता सा दिन
आशियां है सुनसान मेरा …

मन की है लगन तन से, तन का है तीरथ दूजा
प्यासी रही मिलके उनसे, प्यास को ही मैने पूजा
ये ही तो है अभिमान मेरा …

प्यार पूजा प्रार्थना तो एक साथ रहना चाहे
साथ अगर साथ ना दे, संग आ जाती आहें
अब यही है तूफ़ान मेरा …

nainā haiṅ pyāse mere, pyāsā hai prān merā
maiṅ hūṇ ek barkhā ke bin jaltā sā din
āśhiyāṅ hai sunsān merā …

man kī hai lagan tan se, tan kā hai tīrath dūjā
pyāsī rahī milke unse, pyās ko hī maine pūjā
ye hī to hai abhimān merā …

pyār pūjā prārthnā to ek sāth rahnā chāhe
sāth agar sāth nā de, saṅg ā jātī āheṅ
ab yahī hai tūfān merā …