Nain kaa chain churaakar le gaee

नैन का चैन चुराकर ले गई
Year
Language

नैन का चैन चुराकर ले गई
कर गई नींद हराम
चन्द्रमा सा मुख था उसका
चन्द्रमुखी था नाम
नैन का चैन चुराकर ले गई …

अँखियां नीली और नशीली
दिल में बस गई वो लजीली (?)
चाँदनी थी मद भरी थी
गगन से उतरी परी थी
याद है वो दिन सुहाना - 2
वो सुहानी शाम
नैन का चैन चुराकर ले गयी …

सुन रहा हूँ वो पैजनिया
बन में नाची एक हिरनिया
याद खोई फिर जागी थी
जानी पहचानी लगी थी
नैन मिलते ही नयन से - 2
मन हुआ बदनाम
नैन का चैन चुराकर ले गयी …

कैसी थी वो क्‌या कहूँ मैं
इस लिये चुप-चुप रहूँ मैं
प्यार का सिंगार थी वो
स्वप्न का साकार थी वो
उस विधाता की कला की -2
थी वो पूर्ण विराम
नैन का चैन चुराकर ले गई …

nain kā chain churākar le gaī
kar gaī nīṅd harām
chandrmā sā mukh thā uskā
chandrmukhī thā nām
nain kā chain churākar le gaī …

aṇkhiyāṅ nīlī aur naśhīlī
dil meṅ bas gaī vo lajīlī (?)
chāṇdnī thī mad bharī thī
gagan se utrī parī thī
yād hai vo din suhānā - 2
vo suhānī śhām
nain kā chain churākar le gayī …

sun rahā hūṇ vo paijniyā
ban meṅ nāchī ek hirniyā
yād khoī phir jāgī thī
jānī pahchānī lagī thī
nain milte hī nayan se - 2
man huā badnām
nain kā chain churākar le gayī …

kaisī thī vo k‌yā kahūṇ maiṅ
is liye chup-chup rahūṇ maiṅ
pyār kā siṅgār thī vo
svapn kā sākār thī vo
us vidhātā kī kalā kī -2
thī vo pūrṇ virām
nain kā chain churākar le gaī …