merā dil ye pukāre ā jā
mere ġham ke sahāre ā jā
bhīgā bhīgā hai samā
aise meṅ hai tū kahāṇ
merā dil ye pukāre ājā …
tū nahīṅ to ye rut, ye havā kyā karūṇ, kyā karūṇ
tū nahīṅ to ye run, ye havā kyā karūṇ
dūr tujh se maiṅ rah ke batā kyā karūṇ, kyā karūṇ
sūnā sūnā hai jahāṇ, ab jāūṇ maiṅ kahāṇ
bas itnā mujhe samjhā jā
bhīgā bhīgā …
āṇdhiyāṇ vo chalīṅ, āśhiyāṅ luṭ gayā, luṭ gayā
āṇdhiyāṇ vo chalīṅ, āśhiyāṅ luṭ gayā
pyār kā muskurātā jahāṇ luṭ gayā, luṭ gayā
ek chhoṭī sī jhalak mere miṭne talak
o chāṇd …
o chāṇd mere dikhlā jā
bhīgā bhīgā …
muṇh chhupā ke merī ziṅdgī ro rahī, ro rahī
din ḍhalā bhī nahīṅ, śhām kyoṅ ho rahī, ho rahī
terī duniyā se ham, le ke chale terā ġham
dam bhar ke liye to ā jā
bhīgā bhīgā …