maut āyegī maut ānī hai
ek na ek roz jān jānī hai
tāj meṅ jinke ṭaṅkte the gauhar
ṭhokreṅ khā rahe haiṅ unke sar
kam nahīṅ āsmāṇ jafāoṅ meṅ
dhaṛakte haiṅ dil fajāoṅ meṅ
ġham se majbūr āj milte haiṅ
haiṅ zabāṇ band hoṅṭh hilte haiṅ
dil ko hamjoliyoṅ meṅ bahlānā
yā akele meṅ dil ko samjhānā
rote rahnā bahut tabīyat ko
yād rakhnā merī vasīyat ko
dekho āheṅ machal na jāyeṅ kahīṅ
muṇh se nāle nikal na jāyeṅ kahīṅ
yād karke mujhe bhulā denā
dil kisī aur jā lagā lenā
dekh lo āj hamko jī bhar ke
koī ātā nahīṅ hai phir mar ke
dil meṅ le kar tumhārī yād chale
hāy duniyā se nāmurād chale