Naam meraa prem kalee ... raste men vah kharaa thaa kab se mere peechhe

नाम मेरा प्रेम कली ... रस्ते में वह खड़ा था कब से मेरे पीछे
Work
Year
Language

नाम मेरा प्रेम कली
प्रेम कली मर के चली
रस्ते में खुद की गली प्रेम गली
उसने मेरा नाम लिया मैने जिया थाम लिया
उसने मुझे छेड़ दिया मैने मुँह फेर दिया
मरती क्‌या करती

रस्ते में वह खड़ा था कब से मेरे पीछे पड़ा था -2
जोश बड़ा उसको चढ़ा था
रस्ते में वह खड़ा था …

बीच डगर मेल हुआ और शुरू खेल हुआ -2
नैनों से नैन लड़े रस्ते में लोग खड़े
दिल धक से डोल गया क्‌या कुछ वह बोल गया
खतरा मैं भांप गई धरती कांप गई
करती मैं क्‌या करती
वह अपनी ज़िद पे अड़ा था कब से मेरे पीछे पड़ा था -2
अरे रस्ते में वह खड़ा था …

हुस्न के ये कितने जतन -2
मैने चुरा लिया बदन
हट परे अरे हट परे मैने कहा देख इधर उसने कहा
खाली नहीं आया हूँ मैं देख अंगूठी लाया हूँ मैं
वैसे मैं तो ना लेती अंगूठी फेंक देती
पर उसमें हीरा जड़ा था कब से मेरे पीछे पड़ा था
अरे रस्ते में वह खड़ा था …

nām merā prem kalī
prem kalī mar ke chalī
raste meṅ khud kī galī prem galī
usne merā nām liyā maine jiyā thām liyā
usne mujhe chheṛ diyā maine muṇh pher diyā
martī k‌yā kartī

raste meṅ vah khaṛā thā kab se mere pīchhe paṛā thā -2
jośh baṛā usko chaṛhā thā
raste meṅ vah khaṛā thā …

bīch ḍagar mel huā aur śhurū khel huā -2
nainoṅ se nain laṛe raste meṅ log khaṛe
dil dhak se ḍol gayā k‌yā kuchh vah bol gayā
khatrā maiṅ bhāṅp gaī dhartī kāṅp gaī
kartī maiṅ k‌yā kartī
vah apnī zid pe aṛā thā kab se mere pīchhe paṛā thā -2
are raste meṅ vah khaṛā thā …

husn ke ye kitne jatan -2
maine churā liyā badan
haṭ pare are haṭ pare maine kahā dekh idhar usne kahā
khālī nahīṅ āyā hūṇ maiṅ dekh aṅgūṭhī lāyā hūṇ maiṅ
vaise maiṅ to nā letī aṅgūṭhī pheṅk detī
par usmeṅ hīrā jaṛā thā kab se mere pīchhe paṛā thā
are raste meṅ vah khaṛā thā …