Naach meree bulbul ki paisaa milegaa

नाच मेरी बुलबुल कि पैसा मिलेगा
Work
Year
Language

नाच मेरी बुलबुल कि पैसा मिलेगा
कहाँ कदरदान हमें ऐसा मिलेगा
नाच मेरी बुलबुल …
घुँघरू बना के पैरों में बाँध ले
फिर मेहरबान हमें ऐसा मिलेगा
नाच मेरी बुलबुल …

कितना प्यासा है ये पैसे वाला
इसको पिला दे तू मस्ती का प्याला
कहाँ अनजान हमें ( ऐसा मिलेगा ) -3
नाच मेरी बुलबुल …

अपनी तमन्ना है कितनी छोटी
दो हाथ कपड़ा दो वक़्त रोटी
कहाँ पे मकान हमें ( ऐसा मिलेगा ) -3
नाच मेरी बुलबुल …

nāch merī bulbul ki paisā milegā
kahāṇ kadardān hameṅ aisā milegā
nāch merī bulbul …
ghuṇghrū banā ke pairoṅ meṅ bāṇdh le
phir meharbān hameṅ aisā milegā
nāch merī bulbul …

kitnā pyāsā hai ye paise vālā
isko pilā de tū mastī kā pyālā
kahāṇ anjān hameṅ ( aisā milegā ) -3
nāch merī bulbul …

apnī tamannā hai kitnī chhoṭī
do hāth kapaṛā do vaqt roṭī
kahāṇ pe makān hameṅ ( aisā milegā ) -3
nāch merī bulbul …