Naach haseenaa naach ki duniyaa dekhe

नाच हसीना नाच कि दुनिया देखे
Work
Year
Language

मु: नाच हसीना नाच कि दुनिया देखे
ठुमक-ठुमक के नाच कि दुनिया देखे
तेरे इशारों पे नाचे ज़माना
तू मेरे इशारों पे नाच कि दुनिया देखे
नाच हसीना नाच …

इन्कार की गुंजाइश नहीं -2
तकरार की गुंजाइश नहीं
अब मान जा बस जान जा मेरी नज़रें पहचान जा
झूम हसीना झूम कि दुनिया देखे
नाच हसीना नाच …

रा: ल ल ला

मु: मस्ती में तू मदहोश है -2
पर किसलिए तू ख़ामोश है
लहरा के बलखा के घबरा के शरमा के
बोल हसीना बोल कि दुनिया देखे
नाच हसीना नाच …

mu: nāch hasīnā nāch ki duniyā dekhe
ṭhumak-ṭhumak ke nāch ki duniyā dekhe
tere iśhāroṅ pe nāche zamānā
tū mere iśhāroṅ pe nāch ki duniyā dekhe
nāch hasīnā nāch …

inkār kī guṅjāiśh nahīṅ -2
takrār kī guṅjāiśh nahīṅ
ab mān jā bas jān jā merī nazreṅ pahchān jā
jhūm hasīnā jhūm ki duniyā dekhe
nāch hasīnā nāch …

rā: la la lā

mu: mastī meṅ tū madhośh hai -2
par kislie tū khāmośh hai
lahrā ke balkhā ke ghabrā ke śharmā ke
bol hasīnā bol ki duniyā dekhe
nāch hasīnā nāch …