tere śhahroṅ se rājā hameṅ ban hī bhale
vahāṇ chain se to sote the sitāroṅ ke tale
tujhko bhī dekh liyā śhahar bhī terā dekhā
jagamgāhaṭ kī har ik tah meṅ aṇdherā dekhā
aiśh karte haiṅ tere śhahar meṅ daulatvāle
aur phāṇkoṅ ke sitam sahte haiṅ mehnat vāle
tere śhahroṅ meṅ zabāṇ jhūṭhī hai dil khoṭe haiṅ
bilḍiṅgeṅ ūṇchī haiṅ insān bahut chhoṭe haiṅ
tere śhahroṅ se …
śhor itnā hai ki dil kī bhī sadā kho jāe
bhīṛ aisī hai ke khud apnā patā kho jāe
iśhq vāloṅ ko yahāṇ rasm-e-vafā yād nahīṅ
husn ko husn kī śharm-o-hayā yād nahīṅ
jism se rūh kā hai bair tere śhahroṅ meṅ
nazar āte haiṅ sabhī ġhair tere śhahroṅ meṅ
tere śhahroṅ se …
tūne jo ḍhaṅg nikāle haiṅ ve beḍhaṅge haiṅ
kapaṛā buntī hai mil phir bhī badan naṅgeṅ haiṅ
gallā chhup jātā hai dhanvānoṅ ke tahakhānoṅ meṅ
lākhoṅ mar jāte haiṅ tapte hue maidānoṅ meṅ
bhūkhe fuṭpāthoṅ pe sote haiṅ tere śhahroṅ meṅ
log insāf ko rote haiṅ tere śhahroṅ meṅ
tere śhahroṅ se …
kahīṅ bhāṣhā kā jhagaṛā hai to kahīṅ prāṅt kā hai
kahīṅ nasloṅ kā hai fasād to kahīṅ jāt kā hai
aman aur chain kā hai sāyā nahīṅ in rāhoṅ meṅ
dāṛhiyāṇ choṭiyāṇ ṭakrātī haiṅ chaurāhoṅ meṅ
tere śhahroṅ meṅ mohabbat kā patā kyā ḍhūṇḍheṅ
ādmī tak nahīṅ miltā hai khudā kyā ḍhūṇḍheṅ
tere śhahroṅ se …
tumne rākeṭ kī madad le ke sitāre dekhe
maut ke muṇh meṅ haiṅ dukh-dard ke māre kitne
dāne-dāne ko taraste haiṅ bechāre kitne
yahī tahazīb hai śhahroṅ kī to jaṅgal achchhe
jo har ik ghar pe baraste hoṅ vo bādal achchhe
tere śhahroṅ se …