Title (Indic)सीने में आग भड़कती है ... ऐ इश्क़ हमें बरबाद न कर् WorkNaach Year1949 LanguageHindi Credits Role Artist Music Husanlal Bhagatram Performer Mohammad Rafi Performer Suraiya Writer Sarshar Sailani LyricsHindiसु: सीने में आग भड़कती है आँखों से पानी बहता है कुछ ऐसी चोट लगी दिल पर दिल रो-रो कर ये कहता है ऐ इश्क़ हमें बरबाद न कर -4 दिल तोड़ के मन का मीत गया हम हार गये ग़म जीत गया ख़ुशियों का ज़माना बीत गया ख़ुशियों का ज़माना याद न कर र: ऐ इश्क़ हमें बरबाद न कर -2 क्यूँ रोते हैं दो दीवाने बेदर्द ज़माना क्या जाने बेदर्द ज़माने से ऐ दिल उम्मीद न रख फ़रियाद न कर सु: ऐ इश्क़ हमें बरबाद न कर -2 पहले तो क़फ़स में क़ैद किया सैय्याद ने फिर ये हुक़्म दिया होंठों को सी अश्क़ों को पी आँसू न बहा फ़रियाद न कर सु: ऐ इश्क़ हमें बरबाद न कर -4 Englishsu: sīne meṅ āg bhaṛaktī hai āṇkhoṅ se pānī bahtā hai kuchh aisī choṭ lagī dil par dil ro-ro kar ye kahtā hai ai iśhq hameṅ barbād na kar -4 dil toṛ ke man kā mīt gayā ham hār gaye ġham jīt gayā khuśhiyoṅ kā zamānā bīt gayā khuśhiyoṅ kā zamānā yād na kar ra: ai iśhq hameṅ barbād na kar -2 kyūṇ rote haiṅ do dīvāne bedard zamānā kyā jāne bedard zamāne se ai dil ummīd na rakh fariyād na kar su: ai iśhq hameṅ barbād na kar -2 pahle to qafas meṅ qaid kiyā saiyyād ne phir ye huqm diyā hoṅṭhoṅ ko sī aśhqoṅ ko pī āṇsū na bahā fariyād na kar su: ai iśhq hameṅ barbād na kar -4