ना पूछो कोई हमें ज़हर क्यूँ पी लिया
ना पूछो कोई हमें ज़हर क्यूँ पी लिया
ज़हर ये पी लिया तो थोड़ा सा जी लिया
पी के ना भूख लगे ना रहे दर्द कोई
गरीबों का तो नहीं ऐसा हमदर्द कोई
कब तक हम आहें भरते ना पीते तो क्या करते
पी गई आग हमें डस गए नाग हमें
सुना है ज़हर से ही ज़हर मरा करता है
ना पूछो कोई हमें …
मिट्टी के प्याले जैसा सभी मुझे तोड़ गए
खाली बोतल की तरह रस्ते में छोड़ गए
झूठे तो पूजे जाएं सज़ा ये सच्चे पाएं
ज़ुल्म निर्दोष रहा न्याय ख़ामोश रहा
तू भी भगवान क्या इन्साफ़ किया करता है
ना पूछो कोई हमें …
nā pūchho koī hameṅ zahar kyūṇ pī liyā
zahar ye pī liyā to thoṛā sā jī liyā
pī ke nā bhūkh lage nā rahe dard koī
garīboṅ kā to nahīṅ aisā hamdard koī
kab tak ham āheṅ bharte nā pīte to kyā karte
pī gaī āg hameṅ ḍas gae nāg hameṅ
sunā hai zahar se hī zahar marā kartā hai
nā pūchho koī hameṅ …
miṭṭī ke pyāle jaisā sabhī mujhe toṛ gae
khālī botal kī tarah raste meṅ chhoṛ gae
jhūṭhe to pūje jāeṅ sazā ye sachche pāeṅ
zulm nirdoṣh rahā nyāy khāmośh rahā
tū bhī bhagvān kyā insāf kiyā kartā hai
nā pūchho koī hameṅ …