Naa koee teraa yahaan hai na koee meraa

ना कोई तेरा यहां है न कोई मेरा
Work
Year
Language

ना कोई तेरा यहां है न कोई मेरा
जो भी खुशी जो भी है ग़म मिल बांटेंगे फिर क्‌यूं न हम
मेरा है इतना ही कहना
ना कोई तेरा यहां …

दिल में हैं ग़म ऐसे भरे कमरे में जैसे ये धुआं
खिड़कियां दिल की जो खोल दो फिर धुआं रहेगा कहां
वो बात पते की है माना समझदार हो ये अब जाना
तुम यही समझते रहना
ना कोई तेरा यहां …

आज भी जैसे मेरे साथ हैं बीते हुए मेरे सारे कल
खाली हैं अब इन्हें फेंक दो ये डिब्बे ये बोतल
बात पते की है माना तुम ये ही समझते रहना
ना कोई तेरा यहां …

nā koī terā yahāṅ hai na koī merā
jo bhī khuśhī jo bhī hai ġham mil bāṅṭeṅge phir k‌yūṅ na ham
merā hai itnā hī kahnā
nā koī terā yahāṅ …

dil meṅ haiṅ ġham aise bhare kamre meṅ jaise ye dhuāṅ
khiṛkiyāṅ dil kī jo khol do phir dhuāṅ rahegā kahāṅ
vo bāt pate kī hai mānā samajhdār ho ye ab jānā
tum yahī samajhte rahnā
nā koī terā yahāṅ …

āj bhī jaise mere sāth haiṅ bīte hue mere sāre kal
khālī haiṅ ab inheṅ pheṅk do ye ḍibbe ye botal
bāt pate kī hai mānā tum ye hī samajhte rahnā
nā koī terā yahāṅ …