Naa kajre kee dhaar, naa motiyon ke haar

ना कजरे की धार, ना मोतियों के हार
Work
Year
Language

ना कजरे की धार, ना मोतियों के हार
ना कोई किया सिंगार, फिर भी कितनी सुंदर हो
मन में प्यार भरा, और तन में प्यार भरा
जीवन में प्यार भरा, तुम तो मेरे प्रियवर हो

सिंगार तेरा यौवन, यौवन ही तेरा गहना
तू ताज़गी फूलों की क्या सादगी का कहना
उड़े खुशबू जब चले तू, बोले तो बजे सितार

सारी दुनिया हरजाई, तेरे प्यार में है सच्चाई
इस लिए छोड़ के दुनिया, तेरी ओर खींची चली आई
थी पत्थर, तूने छूकर सोना कर दिया खरा

तेरा अंग सच्चा सोना, मुस्कान सच्चे मोती
तेरे होंठ हैं मधुशाला, तू रूप की है ज्योती
तेरी सूरत जैसे मूरत, मैं देखूँ बार बार

nā kajre kī dhār, nā motiyoṅ ke hār
nā koī kiyā siṅgār, phir bhī kitnī suṅdar ho
man meṅ pyār bharā, aur tan meṅ pyār bharā
jīvan meṅ pyār bharā, tum to mere priyavar ho

siṅgār terā yauvan, yauvan hī terā gahnā
tū tāzgī phūloṅ kī kyā sādgī kā kahnā
uṛe khuśhbū jab chale tū, bole to baje sitār

sārī duniyā harjāī, tere pyār meṅ hai sachchāī
is lie chhoṛ ke duniyā, terī or khīṅchī chalī āī
thī patthar, tūne chhūkar sonā kar diyā kharā

terā aṅg sachchā sonā, muskān sachche motī
tere hoṅṭh haiṅ madhuśhālā, tū rūp kī hai jyotī
terī sūrat jaise mūrat, maiṅ dekhūṇ bār bār