ye iṅtazār ġhalat hai ke śhām ho jāye
jo ho sake to abhī daur-e-jām ho jāye
mujh jaise riṅd ko bhī tūne haśhr meṅ
yā rab bulā liyā hai to kuchh iṅtejām ho jāye
huī maheṅgī bahot hī śharāb ke thoṛī thoṛī piyā karo
piyo lekin rakho hisāb ke thoṛī thoṛī piyā karo
ġham kā daur ho yā ho khuśhī, samāṅ bāṇdhtī hai śharāb
ek maśhavrā hai janāb ke thoṛī thoṛī piyā karo
dil ke zakhm ko sinā kyā, pīne ke liye jīnā kyā
phūṇk ḍāle jigar ko śharāb, ke thoṛī thoṛī piyā karo
dilbar kī bātoṅ meṅ naśhā, zulphoṅ meṅ naśhā, āṇkhoṅ me naśhā
may se baṛh ke uskā śhabāb ke thoṛī thoṛī piyā karo