Title (Indic)सागर से सुराही टकराती बादल को पसीना आ जाता Work(N/A) LanguageHindi Credits Role Artist Performer Pankaj Udhas LyricsHindiसागर से सुराही टकराती बादल को पसीना आ जाता तुम ज़ुल्फ़ अगर लहरा देते सावन का महीना आ जाता जीने की अदा से नावाक़िफ़ इनसां को भी जीना आ जाता थोड़ी सी अगर तुम दे देते ज़ाहिद को भी पीना आ जाता किस्मत में ना थीं ये दो रातें, एक प्यार की एक तनहाई की एक रात में जीना आ जाता एक रात में मरना आ जाता अफ़सोस तुम अपनी आँखों से छलका ना सके झलका ना सके थोड़ी सी अगर छलका देते अनवर को भी पीना आ जाता Englishsāgar se surāhī ṭakrātī bādal ko pasīnā ā jātā tum zulf agar lahrā dete sāvan kā mahīnā ā jātā jīne kī adā se nāvāqif insāṅ ko bhī jīnā ā jātā thoṛī sī agar tum de dete zāhid ko bhī pīnā ā jātā kismat meṅ nā thīṅ ye do rāteṅ, ek pyār kī ek tanhāī kī ek rāt meṅ jīnā ā jātā ek rāt meṅ marnā ā jātā afsos tum apnī āṇkhoṅ se chhalkā nā sake jhalkā nā sake thoṛī sī agar chhalkā dete anavar ko bhī pīnā ā jātā