nuqtāchīṅ hai ġham-e-dil jisko sunāye na bane
kyā bane bāt jahāṇ bāt banāye na bane
maiṅ bulātā to hūṅ usko, magar ai jazbā-e-dil
uspe ban jāye kuchh aisī ki bin āye na bane
bojh vo sar pe girā hai ki uṭhāye na bane
kām vo ān paṛā hai ki banāye na bane
iśhq par zor nahīṅ, hai ye vo ātiśh 'ġhālib'
ki lagāye na lage, aur bujhāye na bane