kab merā naśheman ahal-e-chaman gulaśhan meṅ gṇvārā karte haiṅ
guṇche apnī āvāzoṅ meṅ bijlī ko pukārā karte haiṅ
poṅchho na araq rukhsāroṅ se raṅgīnī-e-husn ko baṛhne do
sunte haiṅ ki śhabnam ke qatre phūloṅ ko nikhārā karte haiṅ
jātī huī maiyyat dekh ke bhī allah tum uṭh kar ā na sake
do chār qadam to duśhman bhī taqlīf gṇvārā karte haiṅ
ab nazā kā ālam hai mujh par tum apnī muhabbat vāpas lo
jab kaśhtī ḍūbne lagtī hai to bojh utārā karte haiṅ