āj jāne kī zidd na karo
yūṇhī pahlū meṅ baiṭhe raho
hāy, mar jāyeṅge
ham to luṭ jāyeṅge
aisī bāteṅ kiyā na karo
tum hī socho zarā, kyoṅ na rokeṅ tumheṅ?
jān jātī hai jab uṭh ke jāte ho tum
tumko apnī qasam jān-e-jāṇ
bāt itnī merī mān lo
āj jāne kī …
vaqt kī qaid meṅ ziṅdgī hai magar
chaṅd ghaṛiyāṇ yahī haiṅ jo āzād haiṅ
inko khokar kahīṅ, jān-e-jāṇ
umr bhar na taraste raho
āj jāne kī …
kitnā māsūm raṅgīn hai ye samā
husn aur iśhq kī āj meṅ rāj hai
kal kī kisko khabar jān-e-jāṇ
rok lo āj kī rāt ko
āj jāne kī …