raṅgīlā-raṅgīlā aṅg-aṅg hai raṅgīlā dhak-dhak dil nā dhaṛkānā
rasīlā-rasīlā aṅg-aṅg hai rasīlā dil deke dil nā tarsānā
mere dil kī mainā mujhko karke dīvānā
dhak-dhak dil nā dhaṛkānā
jān bhī merī hai terī ye śhān bhī merī hai terī
chaheṅ jo bhī ho na chhoṛūṇgā dāman o jānāṇ
raṅgīlā-raṅgīlā ye raṅg hai raṅgīlā dil deke dil nā tarsānā
mere dil kī mainā tū karke dīvānā dhak-dhak dil nā dhaṛkānā
sun mere pyāre mohan maiṅ terī pyāsī
mujhko banāle apnī charṇoṅ kī dāsī
aṇkhiyoṅ meṅ rahtī haiṅ ye aṇkhiyāṅ tumhārī
duniyā meṅ tere jaisī koī nā pyārī
tere dil ke āṇgan meṅ rahtā hai merā man
tere hī khayāloṅ meṅ rahtā hai merā man
pyārī-pyārī bāṇhoṅ meṅ chhuptā hai merā man
ḍūbā huā hai hardam tujhmeṅ hī merā man
terī panāhoṅ meṅ rahtā hai merā man
raṅgīlā-raṅgīlā ye raṅg hai raṅgīlā dil deke dil nā tarsānā
mere dil kī mainā tū karke dīvānā dhak-dhak dil nā dhaṛkānā
jān bhī merī hai terī ye śhān bhī merī hai terī
chaheṅ jo bhī ho na chhoṛūṇgī dāman o jānāṇ
gore-gore chehre hazāroṅ yahāṇ haiṅ
sāṇvre se kaise tūne aṇkhiyāṇ laṛāīṅ
terā pyār bhāyā mujhko mere sāṇvriyā
isīlie tumse maiṅne aṇkhiyāṇ laṛāīṅ
madirā binā āṇkheṅ kyūṇ lāl hotī haiṅ
mehaṅdī binā hathelī kyūṇ lāl hotī hai
matvālī ye āṇkheṅ madhośh kartī haiṅ
tere binā jīnā bhī duśhvār hotā hai
jab-jab dekhūṇ tumheṅ bahut pyār hotā hai
raṅgīlā-raṅgīlā aṅg-aṅg hai raṅgīlā dhak-dhak dil nā dhaṛkānā
rasīlā-rasīlā aṅg-aṅg hai rasīlā dil deke dil nā tarsānā
mere dil kī mainā mujhko kar ke dīvānā, dhak-dhak dil nā dhaṛkānā
jān bhī merī hai terī ye śhān bhī merī hai terī
chaheṅ jo bhī ho na chhoṛūṇgā dāman o jānāṇ
raṅgīlā-raṅgīlā ye raṅg hai raṅgīlā dil deke dil nā tarsānā
mere dil kī mainā tū karke dīvānā dhak-dhak dil nā dhaṛkānā
dhak-dhak dil na dhaṛkānā -2