kaho na kaho, ye āṇkheṅ boltī haiṅ
o sanam o sanam
o mere sanam
mohabbat ke safar meṅ ye sahārā hai
vafā ke sāhiloṅ kā ye kanārā hai
( bādloṅ se ūṇchī uṛān unkī
sabse alag pahchān unkī
unse hai pyār kī kahānī mansūb
ātī-jātī sāṇsoṅ kī ravānī mansūb) - 2
kaho na kaho, ye āṇkheṅ boltī haiṅ
o sanam o sanam
o mere sanam
mohabbat ke safar meṅ tū hamārā hai
aṅdhere rāstoṅ kā tū sitārā hai
tū hī jīne kā sahārā hai
merī maujoṅ kā kinārā hai
mere liye ye jahāṇ hai tū
tujhe mere dil ne pukārā hai
e e e e -2
kaho na kaho, ye sāṇseṅ boltī haiṅ
o sanam o sanam
o mere sanam
laboṅ pe nām tere bas hamārā hai
ye terā dil bhī jānāṇ ab hamārā hai
kaho na kaho, ye āṇkheṅ boltī haiṅ
o sanam o sanam
o mere sanam
mohabbat ke safar meṅ ye sahārā hai
vafā ke sāhiloṅ kā ye kanārā hai
( khāboṅ meṅ tujhko sṇvārā hai
jazboṅ meṅ apne utārā hai
merī ye āṇkheṅ jidhar dekheṅ
terā hī terā nazārā hai ) -4