o sāthī re, tere binā bhī kyā jīnā
phuloṅ meṅ, kaliyoṅ meṅ, sapnoṅ kī galiyoṅ meṅ
tere binā kuchh kahī nā
jāne kaise anjāne hī ān basā koī pyāse man meṅ
apnā sab kuchh kho baiṭhe ham pāgal man ke pāgalpan meṅ
dil ke aphsāne, maiṅ jānū tū jāne, aur ye jāne koī nā
har dhaḍkan meṅ pyās hai terī, sāsoṅ meṅ terī khuśhbū hai
is dhartī se us aṅbar tak, merī najar meṅ tū hī tū hai
pyār ye ṭūṭe nā, tū mujh se rūṭhe nā, sāth ye chhūṭe kabhī nā
tujh bin jogan merī rāteṅ, tujh bin mere din baṅjāre
merā jīvan jaltī dhūnī, bujhe bujhe mere sapne sāre
tere binā merī, mere binā terī, ye jiṅdgī, jiṅdgī nā