Mujhse miltee hai ik larkee rozaanaa

मुझसे मिलती है इक लड़की रोज़ाना
Work
Year
Language

मुझसे मिलती है इक लड़की रोज़ाना
वो मेरी दीवानी मैं उसका दीवाना
ओ हो हो हो हो
मुझसे मिलता है इक लड़का रोज़ाना
मैं उसकी दीवानी वो मेरा दीवाना
ओ हो हो हो हो

अभी मुलाकातों की शुरुआत हुई है
आँखों हू आँखों में कुछ बात हुई है
कब तक शरमाएगी कब तक घबराएगी
इक दिन खुलकर मेरे सामने आएगी
मुझे बता देगी चाहत का अफ़साना
मुझसे मिलती है …

रोज़ रोज़ वो मुझसे कुछ कहने आता है
जाने क्‌या सोचके कुछ कह नहीं पाता है
ये प्यार का जादू है उसपे चल जाएगा
धीरे धीरे मुझको हर बात बताएगा
मुझे पता है फिर भी बनता है अन्जाना
मुझसे मिलता है …

mujhse miltī hai ik laṛkī rozānā
vo merī dīvānī maiṅ uskā dīvānā
o ho ho ho ho
mujhse miltā hai ik laṛkā rozānā
maiṅ uskī dīvānī vo merā dīvānā
o ho ho ho ho

abhī mulākātoṅ kī śhuruāt huī hai
āṇkhoṅ hū āṇkhoṅ meṅ kuchh bāt huī hai
kab tak śharmāegī kab tak ghabrāegī
ik din khulkar mere sāmne āegī
mujhe batā degī chāhat kā afsānā
mujhse miltī hai …

roz roz vo mujhse kuchh kahne ātā hai
jāne k‌yā sochke kuchh kah nahīṅ pātā hai
ye pyār kā jādū hai uspe chal jāegā
dhīre dhīre mujhko har bāt batāegā
mujhe patā hai phir bhī bantā hai anjānā
mujhse miltā hai …