Mujhe ye phool na de

मुझे ये फूल न दे
Work
Year
Language

मुझे ये फूल न दे तुजह्को दिलबरी की क़सम
ये कुछ नहीं हैं तेरी सादगी की क़सम

नज़र हसीं है तो जलवे हसीन लगते हैं
मैं कुछ नहीं हूँ मुझे मेरी हुस्नगी की क़सम

तू एक साज़ है छेड़ा नहीं किसी ने जिसे
तेरे बदन में छुपी नर्म रागिनी की क़सम

ये रागिनी तेरे दिल में है मेरे तन में नहीं
परखने वाले मुझे तेरी सादगी की क़सम

ग़ज़ल का नाज़ है तू नज़्म का शबाब है तू
यकीन कर मुझे मेरी ही शायरी की क़सम्

mujhe ye phūl na de tujahko dilabrī kī qasam
ye kuchh nahīṅ haiṅ terī sādgī kī qasam

nazar hasīṅ hai to jalve hasīn lagte haiṅ
maiṅ kuchh nahīṅ hūṇ mujhe merī husngī kī qasam

tū ek sāz hai chheṛā nahīṅ kisī ne jise
tere badan meṅ chhupī narm rāginī kī qasam

ye rāginī tere dil meṅ hai mere tan meṅ nahīṅ
parakhne vāle mujhe terī sādgī kī qasam

ġhazal kā nāz hai tū nazam kā śhabāb hai tū
yakīn kar mujhe merī hī śhāyrī kī qasam