Mujhe tere jaisee larkee mil jaae ... mujhe tere jaisaa larkaa

मुझे तेरे जैसी लड़की मिल जाए ... मुझे तेरे जैसा लड़का
Work
Year
Language

मुझे तेरे जैसी लड़की मिल जाए तो क्‌या बात हो
कभी पास बुलाए कभी छुप के सताए
मेरा दिल धड़काए मेरा चैन चुराए

मुझे तेरे जैसा लड़का मिल जाए तो क्‌या बात हो
कभी पास बुलाए …

आँखों में तेरी चाहत का नशा
ज़ुल्फ़ों में तेरी ख़ुश्बू की घटा
मुझे अच्छी लगे तारीफ़ तेरी
हो अब नाम तेरे हर साँस मेरी
मदहोश बनाए मेरा होश उड़ाए
मेरा दर्द बढ़ाए नस नस में समाए
मुझे तेरे जैसा …

ना मुझ से कभी तकरार करे
मुझे प्यार करे बस प्यार करे
ना शक मुझ पे कभी यार करे
जो सिर्फ़ मेरा ऐतबार करे
पलकों में बिठाए मेरे ख़्वाब सजाए
तन मन महकाए मेरी प्यास बुझाए
मुझे तेरे जैसी …

mujhe tere jaisī laṛkī mil jāe to k‌yā bāt ho
kabhī pās bulāe kabhī chhup ke satāe
merā dil dhaṛkāe merā chain churāe

mujhe tere jaisā laṛkā mil jāe to k‌yā bāt ho
kabhī pās bulāe …

āṇkhoṅ meṅ terī chāhat kā naśhā
zulfoṅ meṅ terī khuśhbū kī ghaṭā
mujhe achchhī lage tārīf terī
ho ab nām tere har sāṇs merī
madhośh banāe merā hośh uṛāe
merā dard baṛhāe nas nas meṅ samāe
mujhe tere jaisā …

nā mujh se kabhī takrār kare
mujhe pyār kare bas pyār kare
nā śhak mujh pe kabhī yār kare
jo sirf merā aitbār kare
palkoṅ meṅ biṭhāe mere khvāb sajāe
tan man mahkāe merī pyās bujhāe
mujhe tere jaisī …