Mujhe raat din ye khyaal hai vo nazar se mujhko

मुझे रात दिन ये ख़्याल है वो नज़र से मुझको
Work
Year
Language

मुझे रात दिन ये ख़्याल है वो नज़र से मुझको गिरा न दे
मेरी ज़िन्दगी का दिया कहीं ये ग़मों की आँधी बुझा न दे
मुझे रात दिन ये …

मेरे दिल के दाग़ न जल उठें कहीं मेरे सीने की आग से -2
ये घुटी-घुटी मेरी आह भी कहीं होश मेरे गंवा न दे
मुझे रात दिन ये …

मैं दिया हूँ ऐसा जहान में कि जला तो हूँ नहीं रोशनी -2
जो जिगर में है वो ख़लिश कहीं मेरी हसरतों को मिटा न दे
मुझे रात दिन ये …

mujhe rāt din ye khyāl hai vo nazar se mujhko girā na de
merī zindgī kā diyā kahīṅ ye ġhamoṅ kī āṇdhī bujhā na de
mujhe rāt din ye …

mere dil ke dāġh na jal uṭheṅ kahīṅ mere sīne kī āg se -2
ye ghuṭī-ghuṭī merī āh bhī kahīṅ hośh mere gaṅvā na de
mujhe rāt din ye …

maiṅ diyā hūṇ aisā jahān meṅ ki jalā to hūṇ nahīṅ rośhnī -2
jo jigar meṅ hai vo khaliśh kahīṅ merī hasartoṅ ko miṭā na de
mujhe rāt din ye …