Mujhe naheen poochhnee tumse beetee baaten

मुझे नहीं पूछनी तुमसे बीती बातें
Year
Language

मुझे नहीं पूछनी तुमसे बीती बातें
कैसे भी गुज़ारी हों तुमने अपनी रातें
जैसी भी हो बस आज से तुम मेरी हो
मेरी ही बनके रहना
मुझे तुमसे है इतना कहना
मुझे नहीं पूछनी …

बीते हुए कल पे तुम्हारे अधिकार नहीं है मेरा
उस द्वार पे मैं क्‌यों जाऊँ जो द्वार नहीं है मेरा
बीता हुआ कल तो बीत चुका
कल का दुख आज ना सहना
मुझे नहीं पूछनी …

मैं राम नहीं हूँ फिर क्‌यूं उम्मीद करूँ सीता की
कोई इन्सानों में ढूँढे क्‌यों पावनता गंगा की
दुनिया में फ़रिश्ता कोई नहीं
इन्सान ही बनके रहना
मुझे नहीं पूछनी …

mujhe nahīṅ pūchhnī tumse bītī bāteṅ
kaise bhī guzārī hoṅ tumne apnī rāteṅ
jaisī bhī ho bas āj se tum merī ho
merī hī banke rahnā
mujhe tumse hai itnā kahnā
mujhe nahīṅ pūchhnī …

bīte hue kal pe tumhāre adhikār nahīṅ hai merā
us dvār pe maiṅ k‌yoṅ jāūṇ jo dvār nahīṅ hai merā
bītā huā kal to bīt chukā
kal kā dukh āj nā sahnā
mujhe nahīṅ pūchhnī …

maiṅ rām nahīṅ hūṇ phir k‌yūṅ ummīd karūṇ sītā kī
koī insānoṅ meṅ ḍhūṇḍhe k‌yoṅ pāvantā gaṅgā kī
duniyā meṅ fariśhtā koī nahīṅ
insān hī banke rahnā
mujhe nahīṅ pūchhnī …