Mujhe kuchh tumse hai kahnaa ... kah do naa

मुझे कुछ तुमसे है कहना ... कह दो ना
Year
Language

मुझे कुछ तुमसे है कहना
कह दो ना
पर दिल कहे अभी चुप रहना
अरे कह दो ना
अब चुप रहने से बोल पड़ेंगे हम दोनों के नैना
मुझे कुछ तुमसे …

मैने कहा
मैने सुना
अरे मैने तो कुछ भी कहा नहीं
तो मैने भी कुछ भी सुना नहीं

हो कहने सुनने को क्‌या बाकी रह गया
अरे यही तो मैने कहना था ये तुमने कह दिया
हाथ ज़रा दिल पे रख दो आ जाए मुझे चैना
ना मुझे कुछ तुमसे …

लो पसीना पोंछ लो
आँखों में शरारत है
है
होंठों पे शिकायत है
है
बेचैन तबीयत है
है
बेताब सी हालत है
है
कुछ कहूँ इजाज़त है
है
तुम्हें मुझसे मोहब्बत है
है
है भी नहीं भी
देखो मैं फिर सोचूंगी
सोचूंगी फिर बोलूंगी
राज़ कभी ये फिर खोलूंगी
इक दिल कहे तेरा हाँ कर दूं
इक दिल कहता है ना
कह दो ना
अब चुप रहने से …

mujhe kuchh tumse hai kahnā
kah do nā
par dil kahe abhī chup rahnā
are kah do nā
ab chup rahne se bol paṛeṅge ham donoṅ ke nainā
mujhe kuchh tumse …

maine kahā
maine sunā
are maine to kuchh bhī kahā nahīṅ
to maine bhī kuchh bhī sunā nahīṅ

ho kahne sunne ko k‌yā bākī rah gayā
are yahī to maine kahnā thā ye tumne kah diyā
hāth zarā dil pe rakh do ā jāe mujhe chainā
nā mujhe kuchh tumse …

lo pasīnā poṅchh lo
āṇkhoṅ meṅ śharārat hai
hai
hoṅṭhoṅ pe śhikāyat hai
hai
bechain tabīyat hai
hai
betāb sī hālat hai
hai
kuchh kahūṇ ijāzat hai
hai
tumheṅ mujhse mohabbat hai
hai
hai bhī nahīṅ bhī
dekho maiṅ phir sochūṅgī
sochūṅgī phir bolūṅgī
rāz kabhī ye phir kholūṅgī
ik dil kahe terā hāṇ kar dūṅ
ik dil kahtā hai nā
kah do nā
ab chup rahne se …