Mujhe jab jab bahaaron ... kal chaman thaa aaj ik‌

मुझे जब जब बहारों ... कल चमन था आज इक्‌
Work
Year
Language

मुझे जब जब बहारों का ज़माना याद आएगा
कहीं अपना भी था इक आशियाना याद आएगा

कल चमन था आज इक सहरा हुआ
देखते ही देखते ये क्‌या हुआ
कल चमन था …

मुझको बरबादी का कोई ग़म नहीं -2
ग़म है बरबादी का क्‌यों चर्चा हुआ
कल चमन था …

एक छोटा सा था मेरा आशियाँ -2
आज तिनके से अलग तिनका हुआ
कल चमन था …

सोचता हूँ अपने घर को देखकर -2
हो न हो ये है मेरा देखा हुआ
कल चमन था …

देखने वालों ने देखा है धुआँ -2
किसने देखा दिल मेरा जलता हुआ
कल चमन था …

mujhe jab jab bahāroṅ kā zamānā yād āegā
kahīṅ apnā bhī thā ik āśhiyānā yād āegā

kal chaman thā āj ik sahrā huā
dekhte hī dekhte ye k‌yā huā
kal chaman thā …

mujhko barbādī kā koī ġham nahīṅ -2
ġham hai barbādī kā k‌yoṅ charchā huā
kal chaman thā …

ek chhoṭā sā thā merā āśhiyāṇ -2
āj tinke se alag tinkā huā
kal chaman thā …

sochtā hūṇ apne ghar ko dekhkar -2
ho na ho ye hai merā dekhā huā
kal chaman thā …

dekhne vāloṅ ne dekhā hai dhuāṇ -2
kisne dekhā dil merā jaltā huā
kal chaman thā …