Mujhe dard-e-dil kaa pataa na thaa, mujhe aap kis liye mil gaye

मुझे दर्द-ए-दिल का पता न था, मुझे आप किस लिये मिल गये
Work
Year
Language

मुझे दर्द-ए-दिल का पता न था
मुझे आप किस लिये मिल गये?
मैं अकेले यूँ भी मज़े में था
मुझे आप किस लिये मिल गये?

यूँ ही अपने अपने सफ़र में गुम
कहीं दूर मैं कहीं दूर तुम
कहीं दूर तुम
चले जा रहे थे जुदा जुदा
मुझे आप किस लिये मिल गये?
मैं अकेले यूँ भी मज़े में था
मुझे आप किस लिये मिल गये?

न मैं चांद हूँ किसी शाम का
न चिराग़ हूँ किसी बाम का
किसी बाम का
मैं तो रास्ते का हूँ एक दिया
मुझे आप किस लिये मिल गये?
मैं अकेले यूँ भी मज़े में था
मुझे आप किस लिये मिल गये?

मुझे दर्द-ए-दिल का पता न था
मुझे आप किस लिये मिल गये?

mujhe dard-e-dil kā patā na thā
mujhe āp kis liye mil gaye?
maiṅ akele yūṇ bhī maze meṅ thā
mujhe āp kis liye mil gaye?

yūṇ hī apne apne safar meṅ gum
kahīṅ dūr maiṅ kahīṅ dūr tum
kahīṅ dūr tum
chale jā rahe the judā judā
mujhe āp kis liye mil gaye?
maiṅ akele yūṇ bhī maze meṅ thā
mujhe āp kis liye mil gaye?

na maiṅ chāṅd hūṇ kisī śhām kā
na chirāġh hūṇ kisī bām kā
kisī bām kā
maiṅ to rāste kā hūṇ ek diyā
mujhe āp kis liye mil gaye?
maiṅ akele yūṇ bhī maze meṅ thā
mujhe āp kis liye mil gaye?

mujhe dard-e-dil kā patā na thā
mujhe āp kis liye mil gaye?