मुझे छू के सजन ये मस्त पवन्
मुझे छू के सजन ये मस्त पवन सुलगाए कुंवारा मेरा बदन
घुंघरू से बजे नाचे मेरा मन
छन छनन छनन छन छननन छन
मुझे छू के …
महका महका बहका बहका ये दिल तेरा चुराना है
चाहे जीत ले चाहे लूट ले ये तेरा ही खज़ाना है
अरे क्या ये कह दिया जादू कर दिया बस में नहीं है मेरा मन
दिल की है लगी दिल में है जगी तेरे प्यार की अगन
घुंघरू से बजे …
मेरी ज़िंदगी के मालिक मेरे दिल पे हाथ रख दे
तेरे आने की खुशी में मेरा दम निकल ना जाए
आ
तेरी निगाहें तेरी अदाएं मुझको बुलाएं जान-ए-मन
मेरी ये बाहें तेरी हैं राहें आजा आ भी जा साजन
जागा ये प्यार है छाया खुमार है बेकरार दिल की धड़कन
मुझको थाम ले बाहों में बांध ले होने दे ये मिलन
घुंघरू से बजे …
mujhe chhū ke sajan ye mast pavan sulgāe kuṅvārā merā badan
ghuṅghrū se baje nāche merā man
chhan chhanan chhanan chhan chhananan chhan
mujhe chhū ke …
mahkā mahkā bahkā bahkā ye dil terā churānā hai
chāhe jīt le chāhe lūṭ le ye terā hī khazānā hai
are kyā ye kah diyā jādū kar diyā bas meṅ nahīṅ hai merā man
dil kī hai lagī dil meṅ hai jagī tere pyār kī agan
ghuṅghrū se baje …
merī ziṅdgī ke mālik mere dil pe hāth rakh de
tere āne kī khuśhī meṅ merā dam nikal nā jāe
ā
terī nigāheṅ terī adāeṅ mujhko bulāeṅ jān-e-man
merī ye bāheṅ terī haiṅ rāheṅ ājā ā bhī jā sājan
jāgā ye pyār hai chhāyā khumār hai bekrār dil kī dhaṛkan
mujhko thām le bāhoṅ meṅ bāṅdh le hone de ye milan
ghuṅghrū se baje …