Mujhe bhee maut kaa paigaam

मुझे भी मौत का पैगाम्
Work
Year
Language

नज़र के सामने जब लुट गया जहाँ मेरा
कोई बताये के कौन आयें(?) अब कहाँ मेरा

(मुझे भी मौत का पैग़ाम आ जाये तो अच्छा हो)-2
हमेशा के लिये आराम आ जाये तो अच्छा हो

(तुम्हारे साथ जीने की तमन्न की, हुई रुख़सत)-2
अगर अब ज़िंदगी की शाम आ जाये तो अच्छा हो
मुझे भी मौत्…

(मुबारक हो तुझे तो अब खुशी के जाम ऐ दुनिया)-2
(यहाँ तो ज़हर का इक जाम आ जाये तो अच्छा हो)-2
मुझे भी मौत्…

nazar ke sāmne jab luṭ gayā jahāṇ merā
koī batāye ke kaun āyeṅ(?) ab kahāṇ merā

(mujhe bhī maut kā paiġhām ā jāye to achchhā ho)-2
hameśhā ke liye ārām ā jāye to achchhā ho

(tumhāre sāth jīne kī tamann kī, huī rukhsat)-2
agar ab ziṅdgī kī śhām ā jāye to achchhā ho
mujhe bhī maut…

(mubārak ho tujhe to ab khuśhī ke jām ai duniyā)-2
(yahāṇ to zahar kā ik jām ā jāye to achchhā ho)-2
mujhe bhī maut…