Mujh ko apne gale lagaa lo, ai mere hamraahee

मुझ को अपने गले लगा लो, ऐ मेरे हमराही
Work
Year
Language

मुझ को अपने गले लगा लो, ऐ मेरे हमराही
तुझको क्‌या बतलाऊं मैं
के तुमसे कितना प्यार है

जब तुम मुझसे दूर रहते हो
जिया मेरा घबराता है
नींद आँखों से उड़ जाती है
चाँद अगन बरसाता है
दोनों पहलू जल जाते हैं
आग में आग लगाता है
जैसे तड़पे बिन जल मछली
प्यार मुझे तड़पाता है, प्यार मुझे तड़पाता है
इस उल्झन से मुझ को बचालो, ऐ मेरे हमराही
तुझको क्‌या बतलाऊं मैं …

जिन राहों पर हँसके चलो तुम
फूल वहाँ खिल जाते हैं
दम लेने को जहाँ रुको तुम
मधुशाले बन जाते हैं
तुमको छूकर पवन झकोरे
खूशबू लेकर जाते हैं
लेकिन हम तो देखें सूरत
दिल थामे रह जाते हैं, दिल थामे रह जाते हैं
दिल से दिल के तार मिला लो, ऐ मेरे हमराही
तुझको क्‌या बतलाऊं मैं …

mujh ko apne gale lagā lo, ai mere hamrāhī
tujhko k‌yā batlāūṅ maiṅ
ke tumse kitnā pyār hai

jab tum mujhse dūr rahte ho
jiyā merā ghabrātā hai
nīṅd āṇkhoṅ se uṛ jātī hai
chāṇd agan barsātā hai
donoṅ pahlū jal jāte haiṅ
āg meṅ āg lagātā hai
jaise taṛpe bin jal machhlī
pyār mujhe taṛpātā hai, pyār mujhe taṛpātā hai
is uljhan se mujh ko bachālo, ai mere hamrāhī
tujhko k‌yā batlāūṅ maiṅ …

jin rāhoṅ par hṇske chalo tum
phūl vahāṇ khil jāte haiṅ
dam lene ko jahāṇ ruko tum
madhuśhāle ban jāte haiṅ
tumko chhūkar pavan jhakore
khūśhbū lekar jāte haiṅ
lekin ham to dekheṅ sūrat
dil thāme rah jāte haiṅ, dil thāme rah jāte haiṅ
dil se dil ke tār milā lo, ai mere hamrāhī
tujhko k‌yā batlāūṅ maiṅ …