Muhabbat kee zubaan chup hai, sitaaron tum bhee chup rahnaa

मुहब्बत की ज़ुबान चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना
Work
Year
Language

मुहब्बत की ज़ुबां चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना - 2
उम्मीदों का जहाँ चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना
मुहब्बत की ज़ुबां चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना

किसी की बे-बसी के राज़ को परदे में रहने दो - 2
राज़ को परदे में रहने दो
ज़मीं चुप, आस्माँ चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना
मुहब्बत की ज़ुबां चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना

मेरी पलकों पे आके थम गए हैं प्यार के आँसू
थम गए हैं प्यार के आँसू
यह ग़म का कारवां चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना
मुहब्बत की ज़ुबां चुप है, सितारों तुम भी चुप रहना

muhabbat kī zubāṅ chup hai, sitāroṅ tum bhī chup rahnā - 2
ummīdoṅ kā jahāṇ chup hai, sitāroṅ tum bhī chup rahnā
muhabbat kī zubāṅ chup hai, sitāroṅ tum bhī chup rahnā

kisī kī be-basī ke rāz ko parde meṅ rahne do - 2
rāz ko parde meṅ rahne do
zamīṅ chup, āsmāṇ chup hai, sitāroṅ tum bhī chup rahnā
muhabbat kī zubāṅ chup hai, sitāroṅ tum bhī chup rahnā

merī palkoṅ pe āke tham gae haiṅ pyār ke āṇsū
tham gae haiṅ pyār ke āṇsū
yah ġham kā kārvāṅ chup hai, sitāroṅ tum bhī chup rahnā
muhabbat kī zubāṅ chup hai, sitāroṅ tum bhī chup rahnā