Muhabbat kee hai tumhaare lie

मुहब्बत की है तुम्हारे लिए
Work
Year
Language

कु: मुहब्बत की है तुम्हारे लिए -2
जान भी दूँगा तुम्हारे लिए -2
अ: बग़ावत की है तुम्हारे लिए -2
जान भी दूँगी तुम्हारे लिए -2
कु: मुहब्बत की है …

अ: ख़ुशियों की डफली बजाते रहेंगे -2
सारी उमर यूँ ही गाते रहेंगे -2
कु: हाय साँसों की सरगम यही गुनगुनाए -2
तुमको कभी ना कोई ग़म सताए
इबादत की है तुम्हारे लिए
जान भी दूँगा …

अ: कश्ती हूँ मैं तू है मेरा किनारा -2
मुझको तो है सिर्फ़ तेरा सहारा -2
कु: मैं चन्द्रमा तू मेरी रोशनी है -2
मेरे लिए जान-ए-मन तू बनी है
इबादत की है तुम्हारे लिए
जान भी दूँगा …

कु: मुझको पता है ना तुझको ख़बर है -2
अ: हमको तो हर पल ज़माने का डर है -2
कु: हम वो करेंगे हमें जो है करना -2
हमको ज़माने की कोई फ़िक़र ना
अदावत की है तुम्हारे लिए
जान भी दूँगा …

ku: muhabbat kī hai tumhāre lie -2
jān bhī dūṇgā tumhāre lie -2
a: baġhāvat kī hai tumhāre lie -2
jān bhī dūṇgī tumhāre lie -2
ku: muhabbat kī hai …

a: khuśhiyoṅ kī ḍaphlī bajāte raheṅge -2
sārī umar yūṇ hī gāte raheṅge -2
ku: hāy sāṇsoṅ kī sargam yahī gungunāe -2
tumko kabhī nā koī ġham satāe
ibādat kī hai tumhāre lie
jān bhī dūṇgā …

a: kaśhtī hūṇ maiṅ tū hai merā kinārā -2
mujhko to hai sirf terā sahārā -2
ku: maiṅ chandrmā tū merī rośhnī hai -2
mere lie jān-e-man tū banī hai
ibādat kī hai tumhāre lie
jān bhī dūṇgā …

ku: mujhko patā hai nā tujhko khabar hai -2
a: hamko to har pal zamāne kā ḍar hai -2
ku: ham vo kareṅge hameṅ jo hai karnā -2
hamko zamāne kī koī fiqar nā
adāvat kī hai tumhāre lie
jān bhī dūṇgā …