Muhabbat hamaaree zamaanaa hamaaraa

मुहब्बत हमारी ज़माना हमारा
Work
Year
Language

मुहब्बत हमारी ज़माना हमारा
तू गाए जा ऐ दिल तराना हमारा
मुहब्बत हमारी …

रहेंगे सदा हम ख़ुशी के चमन में -2
मिलेगा न ग़म को ठिकाना हमारा -2
तू गाए जा ऐ दिल …

हसीं है मुहब्बत हमारे ही दम से -2
न भूलेगी दुनिया फ़साना हमारा
तू गाए जा ऐ दिल …

हम इस ज़िन्दगी को उजड़ने न देंगे -2
( यही ज़िन्दगी है ) -2 ख़ज़ाना हमारा
तू गाए जा ऐ दिल …

muhabbat hamārī zamānā hamārā
tū gāe jā ai dil tarānā hamārā
muhabbat hamārī …

raheṅge sadā ham khuśhī ke chaman meṅ -2
milegā na ġham ko ṭhikānā hamārā -2
tū gāe jā ai dil …

hasīṅ hai muhabbat hamāre hī dam se -2
na bhūlegī duniyā fasānā hamārā
tū gāe jā ai dil …

ham is zindgī ko ujaṛne na deṅge -2
( yahī zindgī hai ) -2 khazānā hamārā
tū gāe jā ai dil …