kah do ek bār sajnā, itnā kyo pyār sajnā
hai mujh meṅ aisā bhī kyā re?
bādal hai terā kājal, aṅbar hai terā āṇchal
sūraj hai terī biṅdīyāṅ re
sajnā jī āp kyo aise bechain haiṅ ?
chain to merā lūṭe tere ye do nain hai
nainoṅ meṅ kaise maiṅ kah dūṇ hai kyā ?
kah do ek bār sajnā, do aur do chār sajnā
nainoṅ meṅ aisā bhī kyā re?
kajre kī dhār in meṅ, aisī talvār in meṅ
chhine jo merī niṅdiyāṇ re
sajnā jī āp kyo aise betāb haiṅ ?
tere ye bāl in savāloṅ kā javāb hai
bāloṅ meṅ kaise maiṅ kah dūṇ hai kyā
kah do ek bār sajnā, mere dildār sajnā
bāloṅ meṅ aisā bhī kyā re?
bāloṅ meṅ nāg tere, jin se ḍarte sapere
ḍas gaye ye nāg daiyyā re
sajnā jī āp kyo aise behāl haiṅ ?
tere chehrā dekhūṇ to āte sau khayāl hai
chehre meṅ kaise maiṅ kah dūṇ kyā
kah do ek bār sajnā, o bekrār sajnā
chehre meṅ aisā bhī kyā re?
dekhūṇ dinrāt sajnī, par hai ye bāt sajnī
lagtā hai phir bhī nayā re