pardesī to haiṅ pardesī āte haiṅ chale jāte haiṅ
kuchh yādeṅ thoṛī sī khuśhiyāṅ ḍher se ġham de jāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
ye hote haiṅ jhoṅke havā ke inko pakaṛnā muśhkil hai
phir bhī muhabbat kartā hai inse kitnā pāgal ye dil hai
do pal kī rāhat dete haiṅ sārī umar taṛpāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
is ḍālī kabhī us ḍālī pe bedardoṅ kā baserā hai
śhāmeṅ kahīṅ pe guzreṅ inkī aur kahīṅ pe saverā hai
harjāī bhaṅvre haiṅ ye to kaliyoṅ ko bahkāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
pardesī to haiṅ pardesī āte haiṅ chale jāte haiṅ
kuchh yādeṅ thoṛī sī khuśhiyāṅ ḍher se ġham de jāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
ye hote haiṅ jhoṅke havā ke inko pakaṛnā muśhkil hai
phir bhī muhabbat kartā hai inse kitnā pāgal ye dil hai
do pal kī rāhat dete haiṅ sārī umar taṛpāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
chain churā ke le gae merā in aṇkhiyoṅ ko pyās de gae
prem ke jogī ban ke āe jogan ko banvās de gae
vādā hṇsāne kā karte haiṅ par ye hamko rulāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
pardesī to haiṅ pardesī āte haiṅ chale jāte haiṅ
kuchh yādeṅ thoṛī sī khuśhiyāṅ ḍher se ġham de jāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
ye nā samajhnā hamko tumhārī yād na āegī
jab dekheṅge tasvīr tumhārī āṇkheṅ bhar āeṅgī
kuchh riśhte aise haiṅ jo chupke se nibhāe jāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
dil kartā hai āj pukārūṅ tumko maiṅ apnā kah ke
lauṭ ke phir āoge jāo tum ye vādā kar ke
byāh meṅ tere sab āeṅge de ke vachan ham jāte haiṅ
pardesī to haiṅ …
milnā bichhaṛnā is jīvan kī rīt purānī hai
dil detā hai tumko duāeṅ āṇkh meṅ pānī hai
in aśhkoṅ pe mat jāo ye khuśhiyoṅ meṅ bhī āte haiṅ
pardesī to haiṅ …