Mornee baagaa maa bole aadhee raatmaa

मोरनी बागा मा बोले आधी रातमा
Work
Year
Language

मोरनी बागा मा बोले आधी रातमा
छननछन चूड़ियां खनक गयी देख साहिबां
चूड़ियां खनक गयी हाथ मा

मैं तो लाज के मारे, हो गयी पानी पानी
सब लोगों ने सुन ली मेरी प्रेम कहानी
मुँहसे बात निकल गयी बात बात मा, बात बात मा
छननछन चूड़ियां खनक गयी देख साहिबां

जाने कौन घड़ी मैं निकले साजन घरसे
मैं घूँघट में जाऊं गयी कितने सावन बरसाए
मेरी प्यास ना बुझी रे बरसात मा, बरसात मा
छननछन चूड़ियां खनक गयी देख सहिबां …

सुनी सेज पे सैयाँ सारी रात मैं जागी
तेरे पीछे पीछे मेरी नींद तो भागी
मेरा चैन भी गया रे तेरे साथ मा
छननछन चूड़ियां खनक गयी देख साहिबां …

ओ मेरा नेहरा छूटे रे माएरी छाती फूटे ढोल
ओ ढोला मत जा जा जा
रे ढोला मत जा जा जा … (this part is by Ila Arun)

mornī bāgā mā bole ādhī rātmā
chhananchhan chūṛiyāṅ khanak gayī dekh sāhibāṅ
chūṛiyāṅ khanak gayī hāth mā

maiṅ to lāj ke māre, ho gayī pānī pānī
sab logoṅ ne sun lī merī prem kahānī
muṇhse bāt nikal gayī bāt bāt mā, bāt bāt mā
chhananchhan chūṛiyāṅ khanak gayī dekh sāhibāṅ

jāne kaun ghaṛī maiṅ nikle sājan gharse
maiṅ ghūṇghaṭ meṅ jāūṅ gayī kitne sāvan barsāe
merī pyās nā bujhī re barsāt mā, barsāt mā
chhananchhan chūṛiyāṅ khanak gayī dekh sahibāṅ …

sunī sej pe saiyāṇ sārī rāt maiṅ jāgī
tere pīchhe pīchhe merī nīṅd to bhāgī
merā chain bhī gayā re tere sāth mā
chhananchhan chūṛiyāṅ khanak gayī dekh sāhibāṅ …

o merā nehrā chhūṭe re māerī chhātī phūṭe ḍhol
o ḍholā mat jā jā jā
re ḍholā mat jā jā jā … (this part is by Ila Arun)